Sunau kya mai gam apna (Unreleased)
Sunau kya mai gam apna (Unreleased)
Singer:
Film:
Year:
1949
Music Director:
Lyricist:
Majrooh Sultanpuri
Lyric
Sunau kya mai gam apna, zuban tak la nahi sakta
Jo gana chahta hai dil, vohi mai ga nahi sakta
Vohi mai ga nahi sakta
Sunau kya
Mile hai gair se hans kar, vo mere samne haye
Vo mere samne haye
Lagi hai thes wo dil par, ki mai batla nahi sakta
Ki mai batla nahi sakata
Sunau kya mai gam apna, zuban tak la nahi sakta
Sunau kya
Meri hasrat bhari nazro ko, ab tak jo nahi samjha
Use mai dard e dil apna, kabhi samjha nahi sakta
Kabhi samjha nahi sakta
Sunau kya mai gam apna, zuban tak la nahi sakta
Sunau kya
Siva tere bahut hai, husn wale bhi zamane me
Husn wale bhi zamane me
Magar mushkil ye hai ab dil, kisi par aa nahi sakta
Kisi par aa nahi sakta
Sunau kya mai gam apna, zuban tak la nahi sakta
Sunau kya