Error message

Notice: Undefined offset: 1 in counter_get_browser() (line 70 of /home/u701406760/domains/drjanmejaysheth.com/public_html/sites/all/modules/counter/counter.lib.inc).

Koi Nahin Mera Is Duniya Mein – Aashiyan Barbad Hai

Koi Nahin Mera Is Duniya Mein – Aashiyan Barbad Hai

Film: 
Year: 
1952
Music Director: 
Lyricist: 
Shailendra & Hasrat Jaipuri

Lyric

[chaand ek bevaa ki chuudi kii tarah toota hua
har sitaara besahaara soch men dooba hua
gham ke baadal, ik janaaze ki tarah thahare hue
sisakiyon ke saaz par kaheta hai dil rota hua]

koi nahin mera is duniya men, aashiyaan barbaad hai
aansu bhari mujhe qismat mili hai zindagi naashaad hai

jaa hava tu rasta le apana
qismat hai meri ji ke tadapana) \-2
aayi hai mere gham pe javaani
roti hui ik yaad hai
koi nahin mera.....................

sukh chuke hain aankhon ke jharane
loot liya hamen daagh-e-jigar ne
phool nahin ye zakhm khile hain\-2
aasamaan saiyyaad hai\-2
koi nahin mera................

(mausam dukhon ka sar par hai chaaya
mujh se juda hai khud mera saaya) \-2
ham hain akele gham ke hain mele
ruuh ki fariyaad hai
koi nahin mera..................